Thursday, 25 August 2011

ateet

"Ateet jab kabhi tasweeron me muskurata hi;
  kasak ,ek dard bhari yaad ban kar darata hi;
  pata hi hame,ek tilasmi khandahar ke siwa kuch bhi nahi,
 par phir bhi ye pagal mann har bar wahi khichta chala jata hi;
               dil me khayalon ka sailaab jab bahut bechain karta hi
               kabhi ye sansar jab apna sa nahi lagta hi;
               hum har bar unhi yaadon me chale jate hi;
               lakh koshishon ke baad bhi hum nikal nahi pate hi"
kavita me abhivyakt karein,shabdon ko talaash kartein hi;
udaasi phir bhi ghatati nahi,kuch pal sirf kat jate hi;
ummid na karna dost mere,,yahan kuch bhi nahi tum paoge;
muskurane pe kyu jate ho,ye to jeene ke bas bahaane hi..."


     

Wednesday, 24 August 2011

We ARE wiTH u

 latest obsession-pTRIOTISM,
LAtesT eNeMY-CONgreSs
LATEST Discussion-india againsT cURrupTioN
in-FASHION-gAND
HI topi,
India's latest superstar-ANNA,
LATEST LINe-I aM ANNa.

AnnA TujhE SalAam


              

                 
 saadharan se ek insaan ki itni unchi udaan;
Haward ke dhurandharon ko yun diya pachaadh; 
Bollywood nahi cricket nahi ab to bas anna anna;
Bhaarat ki awaaz hi tu, duniya me misaal bemisaal; 
adna sa tu, par jiddi bada,
iss chamatkar ko hamara  salaam:

Beqraar Aadmi.........



 · 
har traf har jagah bay shumaar aadmi
phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi

subah se shaam tak bojh dho tha hua 
Apni hi laash ka khud mazaar aadmi

har taraf bhagte dodte raaste 
har taraf aadmi ka shikaar aadmi

roz jeeta hua roz marta hua 
har naye din,naya intezaar aadmi

zindagi ka mukaddar safar dar safar
aakhri saans tak beqraar aadmi
aakhri saans tak b...